PAN Card Online Kaise Banaye – 2025 Step by Step Guide (Hindi)
PAN Card (Permanent Account Number) ek important document hai jo income tax bharne, bank account kholne, aur financial transactions ke liye zaroori hota hai. Aaiye jaante hain ki aap ghar baithe PAN card online kaise bana sakte hain – bina agent ke, bina extra paise diye.
✅ PAN Card Banane ke Liye Kya-Kya Chahiye?
- Aapka Aadhaar Card
- Mobile number (Aadhaar se linked)
- Email ID
- Internet connection aur thoda patience 😄
🧾 PAN Card Apply Karne Ka Tarika (NSDL/NDSL Se)
- NSDL PAN Portal par visit karein
- “Apply Online” > “New PAN for Indian citizens (Form 49A)” select karein
- Category me “Individual” choose karein
- Form bharna shuru karein – Aadhaar, DOB, Name etc.
- Digital Signature ka option "No" rakhein agar aapke paas DSC nahi hai
- Document Upload karein (Aadhaar card scan, photo, sign)
- Payment karein – Approx ₹106 (Credit/Debit/UPI allowed)
- Form submit karein, acknowledgement receipt save karein
📬 PAN Card Kitne Din Me Aata Hai?
Agar aapka document sahi hai, to 15 se 20 din ke andar aapko physical PAN card post ke zariye mil jaata hai. Aap email par e-PAN bhi download kar sakte hain.
🔗 Useful Links:
Note: PAN Card ke liye Aadhaar me mobile number linked hona zaroori hai.
✅ Apply Now
Yeh post aapke liye helpful rahi ho to comment karke batayein ya apne doston ke sath share karein!
Post a Comment